Bibi ki Kahani
Kahani and Muajza e janab e fatima (s.aw)
As salamun alikum,
Moajza E Janab E Sayedah
Yeh ek muajza hai jisko koi shaks ager kisee takleef door kern eke liyae ya mushkil hal kern eke liyae mannat maan lae ki jab hajat poori hogee toh is moajzae ko padh ke sunaeinge aur nazer deainge. toh us ki mushkil asaan hogee aur hajat bar aayegee. Baad uskae kisee meethi cheese pe nazer dae aur yeh muajza e kahani janab e syeda sunae.
Jo dar e Syedah Pay Milta hai
Who Kehaan Benawaaz Say Milta hai
Waasta Syeda ka dae ker Ae Mominon
Jo bhi mango khuda sae milta hai.
Mushkil door kero sun ke kahani –e- Syeda
Mominoon Mango duaein de ke Sada e Seyeda
Afatein Tal jaeingi Sadqae main in bibi ke.
Lamha lamha aap dekheinge Mojza e Syeda.
Allah humma Salle Ala Muhammad wa aaalae Muhammad
KAHANI – E – JANAB E SYEDA
Martaba fatema Zehra ka Tha Kya Pesh e khuda
Isko batla gaye dunia ko rasool e do sarah.
Fatema aatee toh her Baar Risalath uthtee
Pae Tazeem Muhammad Ki nabuwat jhuktee.
Dekha masooma ko zurmat main Jo Zehra ko kabhee
Arsh sae aaya- ay- tathir uther kea aye
Isee masooma Ki Azmat ka hai maksoodae bayan
Ek shadi thee madinae ke yahoodi ke yahaan
Apni daulat pet ha zardaar yahudi maghroor
Soncha dukhter ko Muhammad ki bulan hai zaroor
Halath e fiker o fakeeri main jo shirkat hogee
Sirf unki nahin islam ki bhi zillat hogi.
Wadf ek khidmatay Sarkaar e Do aalam ko geya
Baa adab ho ker badha aur Yahudi ne keha.
Dukhtar e rehbar e islam ki shirkat kae liyae
Aaya hoon khidmat e Aalimay Ijazat ke liyae.
Sun ke farmaya shirkat se toh inkaar nahin
Hain Ali inke vali , inka main mukhtar nahin.
Wafday baargaahe shera e khuda main pahuncha
Arz ki khidmat e akdas mainb nabi ne bheja.
Meri dukhter ki oroosi main nabizadi ko.
Azn shirkat ho ata, chaand lage shadi ko.
Sun ke israar e yahudi ka , Ali ne yeh keha.
Jis main hai fatema Zehra ki reza , Meri reza
Unki ger shirkat e shadi pay razamandi hai
Meari janib se na inkaaar na pabandi hai
Kuch tasalli see hue yahudi ko in baton sae
Khush hua dono buzurgoon ki mulaqatoon sae
Jaa ke gher kissa yahudi ne yeh jauza sae keha
Aur khidmat main usae Bin te nabi ko bheja.
Dekha baithi hai musalle pe nabi ki dukhter
Ek dale huae boseeda see sar per chader
Dekhker chehra e akdas pae jala lat ke nishaan
Madaa kern a saki raub e jala lath se bayaan
Hans ke farmaya ki fiker o pareshani hai
Hamko manzoor hai gar davat e mehmani hai
Hai ager khaliq _v_ mabood ko meraey manzoor
Aaaegee fatema kal aapki shadi main zaroor
Shaad ho ker chali is nghar sae yahudan zardaar
Boli is khalko murawwat pe meree jaan nisaar
Huee masroof usee waqtb sae syeda taiyari main
Raat bhae sajdae huae baargah e baati main
Uthae phir behrae dua Chadaer e tatheer sae haath
Ya rab mushkil may her ek tune diya mera saath
Merae maboot merae khaliq –o-rahaman o raheem
To hi baksh dae her izzat o zillat; hai Karim
Apni nadaar kanez ki bhi izzat rekh lae
Apne mehboob ki dukhter ki azmat rekh lae
Ho rehi thee yeh dua ki subeh ka tara chamka
Deen e islam ki qismat ka sitara chamka
Huee hooran e jina gulshan e jannat se rawan
Lay ke sab halal aye jannat peye khatoon e jahaan
Iter jannat ka mila Hullaay jannat pehna
Asmato khalq ka masooma ne gehna pehna
Lae ke hooroon ko uroosi main jo masooma chali
Ya Muhammad tha zubaan pet oh kabhee naad e ali
Hooraein chillayen ki tashreef e rissaalat aayee
Band aankhein karo khatoone qayamat aayee
Dakhil e khana hue binte rasool e doosara
Sehan khaney say ubal nay lage sailab ay ziya
Hosh jaatae rehae jab husn ko aatae dekha
Daman e Fatima hooroon ko uthatae dekha
Niklee ghabra ke dulhan chaand zameen pe dekha
Nauch ke khud usne afrooz ka zaewar phainka
Gash pe Gash aanay lage, nazaa ka hangama hua
Shaad mani ka saman, maut ka paighaam hua
Naalay gam ki sada uthane lagi shadi sae
Jashn abadi mubdil hua barbadi sae
Shirkat e fatema Zehra pae pashemaan hua
Kyoon bulaya tha ab bas ghaer mera veeraan hua
Dukhtar e rahmatae Aalam ne jo dekha yah fiza
Sab ne farmaya ki hath jao behrae khuda
Apni chader ka musalla kiya maiyyet ke qareeb
Peshay Allah ke do aalam yeh keha rekh kay jabeen.
Teri dergaah main aayee hoon talabgaar e karam
Log samjhaein ge ki hai bint e nabi Sabz qadam.
Bistar e marg sae mehboob utha dae isko.
Apne mehboob ke sadqae main jila dae isko.
Ho rahee thee yeh dua dukhtar e zardaar uthee.
Ya ali keh ke uthee qadmoon pe zehra ke giree
Choom ke khak e qadam ro ke keha binte rasool
Kijeeyae bandi ko lillah kaneezee main qubool
Ghar ka ghar daekh key eh sahib e Imaan hua
Majma jitna tha uroosi main musalmaan hua
Kaarae tablighay risalat sae nabi zadi nay
Ho kay farigh keha mahbood sae shahzadi ne
Mere mabood terae lutf o karam pay qurbaan
Fatema sae terae in naam ka ho shuker kehaan
Huraein wapas hueen yeh kissa falak tak pahuncha
Chand taroon ne suna , huroon malaeka tak pahuncha
Shor ehsaanaat ka tha arshe khuda jata tha
Har malak sazdaa ay shukrana baja lata tha
Yeh kahani nahin ek zinda haqeeqat hai yeh
Fatema Zehra ki faramuda basharath hai yeh
Akhter yeh muajza padh ker jo suna deta hai
Mushkil aasaaan nahin muradoon ko jila deta hai.
Amen
Allah humma sale ala Muhammad wa aale Muhammad.
wassalam
www.14masumeen.tk

3 Comments:
Hi,
I this just a poetry or complete bibi Fatima's Mojza. I read the mojza which is longer than that and includes the story of two princes and a woman who lost her son and then story of Bibi Fatima's visit.
Please let me know which one is correct.
Thanks
hi, i am looking for Syeda fatema ki kahani... i have read the kahani before on 2 princes and a woman who lost her son, and bibi fatema's visit...
I had a mannat which has come true with Allah's wish, and i have been looking for this Kahani to complete the mannat... Can somebody help me find it?
Assalam alaikum
SR
I will look it and come back later.
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home